Yakeen

sab apni duniya mein mast hain

To kaisa yeh kasht hai

Kyun samajhte ho khud ko akela

Jab aaye mushkil ki gharian

Jao! Haath barao! Kya pata koi thaam hi le

Jo dikhaega tumhe raasta

Samajhna usme hai Rab vasda


Kar bande khud pe yakeen

Aur tod de yeh darr ki zanjeer

Dhundo khud ko ek naye sire se

Ek nayi ummid, ek nayi shuruat

Bas dikhado ke tum bhi kisi se kam nahin


Logon ka to kam hai tamasha banana

To kyun tum khud ko sambhal nahin pata

Iss dhong ki mein, dhundo woh mann ke sache

Jo samajh paye tumhari uljhane

Zindagi ke kitne roop hain, kabhi dhoop hai to kabhi chaon hai

Tum bas itna yaad rakhna, ke tumhe koi sambhalne wala zaroor hai

Leave a comment