Yeh kaisa dard hai jo sine mein pal raha hai
Lagta hai jaise koi karz chukana baki hai
Kahan jaoon, kise kahoon yeh dabi dabi jo baat hai
Ae sun khuda, ek tum hi to mera humraaz hai
Humain na chahiye yeh khushia, yeh naam aur shauhrat
Bas ek sukoon ki talash hai
Jis ke liye main dar dar bhatakta hoon
Aab to yeh tanhai bhi shor se bharne lagi hai
Ek aisa shor, jo kabhi shant nahin hota
Ek aisa shor, jo mujhe andar hi andar kha raha hai
Ek aisa shor, jo ek kisam ki saza ban rahi hai
Ek aisa shor, jo mujhe khud se aankhen nahin milane deta
Aab kisko sunaoon yeh mann ka jo haal hai
Koi to hoga jo mujhe samajh payega
Koi aisi jaga to hogi jahan mujhe rahat mile
Aur mujhe yakeen hai voh ek tumhara hi darbar hai
