Mat karo kisi ke liye bhi itna
Ke unka har ek lafaz tumhe khali kar jaye
Mat karo bharosa kisi pe bhi itna
Ke uske toot jane pe, tum khud hi toot jayo
Aisa kyun hota hai har bar
Ke koi apna hi sabse zyada chaut poh chahta hai
Bas, bauhat hua
Thak gaya hoon chaut kha kha kar
Kya karein, aab to har ek cheez par se yakeen uth sa gaya hai
Par kyun main tab bhi khud ko sambahal nahin pata
Aisa kyun samajhte hain khamoshi ko kamzori
Shayad voh jante hain har ek lafaz ki gehrayi
Aab to bas ek ummeed ki talash hai
Jo insaniat ke taraf ishara kare
Jahan hum apne jazbaton ko dikha sake aur samajh sake
Kyun ki voh humari takat hoti hai, kamzori nahin
